Breaking News
Latest Post
Home » Archives for July 2011
Saturday, 30 July 2011
Questions Answers:- In Urdu Language Only For Pakistani Users.
Q:- Dehli Mein Sab Se Pehly Urdu Mah.e.Nama Ka Nama Btaiye?
· Ans:-Mah.e.Nama Zabaan.
· Q:- Ilama Iqbal Ka Pehla Majmoah Kilam Kab Shaya Howa?
· Ans:- Year 1924.
· Q:- Urdu Mein Konsay Shahir Ko Shahiri Khuda.e.Sakhan Kehtay Hein?
· Ans:-Mir Taqqi Mir.
· Q:-Neki Elam Hay Badi jahalat Hay Ye Qol Kis Ka Hy?
· Ans:- Sqrat.
· Q:- Urdu Ki Pehli Nowel Nigaar Khatoon Ka Name Btaiye?
· Ans:- Rasheeda.un.Nisaa Begum.
· Q:- Urdu Kay Jasosi Nowel Nigaar Kon Thay?
· Ans:- Zaffar Umer.
· Q:- Dunya Ki Sab Se Pehli Kitab Kab Shaya Hui?
· Ans:- Year 1457.
· Q:- Qalam Ka Mazdoor Kis Shahir Ko Kaha Jata Hy?
· Ans:- Afzal Parwaiz.
· Q:- Kis Mumtaz Adeeb ko Pakistan ka Mehmar.e.Awal Kehtay Hen?
· Ans:- Sir Syed Ahmed Khan.
· Q:- Woh Konsa Mazhab Hay Jo Apnay Mazhab Ko Na Dfnaty Hen aur Na He Jalaty Hen Balkay Gadhon Kay Khanay Kay Liye Aik Khaas Hmarrt Par Phenk Detay Hen Is Hmarrt ka Name Btaiye?
· Ans:- Mahzab Parsi Aur Hmarrt Ko Dakhma Kehtay Hen.
· Q:- Woh Konsay 2 Mahzab Hen Jin Kay Darmain Tombaco Noshi Haram Hy?
· Ans:- Seixh Aur Parsi.
· Q:- Deen Islam Kay Ilawa Kis Mazhab Kay Bani Ne Quran Paak Kay Matahlay Ko Insan Ki Nijaat Ka Zareya Qarar Diya?
· Ans:- Sexh Mazhab Kay Bani Baba Grononic.
· Q:- Robber Ka Drakht Sab Se Pehlay Kis Mulk Me Dryaft Howa Aur Robber Drakht kay Kis Hisay Se Hasil Hota Hy?
· Ans:- Ye Drakht Sab Se Pehlay Brazil Me Dryaft Howa Aur Robber Drkht Kay Dodh Se Hasil Hota hy.
· Q:- Wo Konsa Keera Hay Jis kay Khoon Ka Rang Safaid Hota Hy?
· Ans:- Kakroch.
· Q:- Kis Tareekh Ko Quid.i.Azam Ne Qomi Parcham Manzoor kiya?
· Ans:- 11 August 1947.
· Q;- Saal Ka Sab Se Bara Din Aur Sab Se Chota Din Konsa hy?
· Ans:- Bara Din 22 June Aur Chota Din December Hota Hy.
· Q:- Pakistan Ka Matlab LA.ILAHA.ILLALLAH Kab Aur Kis Ne Tajveez kiya/
· Ans:- Janab Asghar Sodai Ne 1944 Mein Tehreek Pakistan Kay Zamanay Mein Tajveez Kiya.
· Q:- Dunya Ka Sab Se Buland Tareen Control Tower Kis Airport Ka Hy Aur Is ki Onchai Kitni Hay?
· Ans:- Rovoici Charlice Degaan Airport Ka Tower 80 Metr Buland Hy.
· Q;- Dunya Ki Sab Se Anokhi Mefoz Tehreen Aur Sab Se Qeemti Tehreen Car Kis Badshah Kay Liye Bnai Gai?
· Ans:- Mahzol Shah Iran Raza Shah Palwi Kay Liye.
· Q:- Woh Konsa Mulkh Hay Jis Ki Hakoomat Aurton Ko Shoheron ki Maar Ki Waja Se Zakhmi Honay Par Mowza Adaa Karti Hay?
· Ans:- Bartania Ki Hakoomat.
· Q:- Habib Bank Limted Ka Head Office Is Waqat Krachi Mein Hy Pakistan Bannay Se Pehlay Kahan Tha?
· Ans:- Bombai Mein.
· Q;- Mukamal Se Mukamal Sooraj Gehran Kitnay Mins Tak Rehta Hy?
· Ans:- 4-1/2 Mins Tak.
· Q:- Dunya Ki Sab Se Pehli Badshahet Kis Mulkh Mein Qaim Hui?
· Ans:- Missar Mein.
· Q:- Sab Se Pehly Traffic Isharay Kab Aur Kahan Lagaye Gaye?
· Ans:- 1868 Ko London Kay Parliment Chowk Mein.
· Q:- James Bond 007 Bartanvi Secrate Service Kay Khaliq Ka Name Kia Tha?
· Ans:- Oin Fleaming Apnay Betay Ki Salgirah Kay Moqah Par Heart Attack Se Intiqal Kar Gaya Is Ki Umer 56 Saal Thi.
· Q:- Iqwaam Mataddah Ki Tareekh Mein Wo Konsa Moqah Hy Kay Jab Saddar Ki Taqreeb Se Qabbal Quran Majeed Ki Talawat Ki Gayi?
· Ans:- Jab Genral Muhammad Zia.ul.Haq Shaheed Ne Alim Islam Ka Nmainda Honay Ki Haseesh Se Iqwam Mataddah Kay 35wein Ijlaas Se Khitaab Kia.
· Q:- Hakomat Ne khulfa.e.Rashdeen,Sahaba Karam Aur Ehl.e.Bait Ki Shaan Mein Gustakhi Karnay Walo Ki Saza Kab Aur Kia Maqarar Ki?
· Ans:- 3 Saal Qaid Baamshkat Aur Jurmana 15Sep1980 Ko.
· Q:- Woh Konsi 2 Hastian Hein Jino Ne Poori Roye Zameen Par Hakomat Ki?
· Ans:- Hazrat Suleman A.s Aur Hazrat Sakandar Zowalqarneen A.s.
· Q:- Woh Konsi Hasti Hay Jis Ki Hakomat Sirf Zameen Par Nai Balkay Asmano Par Bi Hy?
· Ans:- Aeina Jamal Kabriya, Ahmed Mujtba Rsalat Maab Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w).
· Q:- Har Janwar Ka Khoon Napak Hota Hy Lekin Aik Janwar Aisa Hy Jis Ka Khoon Pak Hota Hy Is Ka Name Btaiye?
· Ans:- Machhar.
· Q:- Sayary Sitary Sooraj Chand Kaisy Banay?
· Ans:- Aik Azeem Dmaka Howa Jo (Big Bank) Kehlata Hy Jis Kay Natijay Mein Kehkshaon Ki Shakal Mein Zaher Howay.
· Q:- Zameen Ki Androoni Aur Behrooni Partein Kis Tarah Ki Hein?
· Ans:- Qasher.e. Arz Jis kay Uper Hum Rehtay Hein Kisi Thoss Chilkay Ki Tarah Hy Jab Kay Kra.e.Zameen Ki Androoni Partein Neit garam Aur Mayah Hein.
· Q:-Unglion Kay Poron Ki Kya Khasosiat Hy?
· Ans:- Kisi Bi 2 Insano Kay Poron Kay Nishan Aik Jaisy Nai Hotay Hatta kay Hum Bhai he Kio Na Hon.
· Q:- Unglion Kay Poron Ki Tehqeeq Sciencei Treeqa Kab Hui?
· Ans:- Sir France Ghayite Ki Tehqeeq Kay Baad 1880 Mein Nishanat Inghst (Finger Print) Ko Shanakhat Kay Sceincei Tareekay Ka Darja Hasil Howa Tha.
· Q:- Woh Konsa Sitara Hay Jo 13 Lakh 13 Hazar 56 Zameeno Kay Braber Hy?
· Ans:- Sooraj.
· Q:- Insani Jism Mein Haddion,Paslion,Sir Kay Balon Aur Musaamo Ki Tadad Kitni hy?
· Ans:- Haddian 206,Paslian 24,Sir Kay Baal 15 Hazar Musaamo Ki Tadad Taqreban 25 Lakh?
· Q:- Sooraj Ka Qatar Kitna Hy?
· Ans:- 8 Lakh 64 Hazar Meel Qatar Hy.
· Q:- Sooraj Ka Wazan Zameen Se Kitnay Gunna Ziada Hy?
· Ans:- 3 Lakh 32 Hazar Gunna Ziada Hy.
· Q:- Sooraj Ki Sattah Ka Darja Hararat Kitna Hy?
· Ans:- 5500 Se 6000 Darja Centi Grade Tak Hy.
· Q:- Sooraj Kay Markaz Ka Darja Hararat Kitna Hy?
· Ans:- 1 Karor 20 Lakh Centi Grade Hy.
· Q:- Chaand Ka Qatar Kitna Hy?
· Ans:- 2160 meel.
· Q:- Zameen Ki Gardash Kitni Kism Ki Hy.
· Ans:- 2 Kism Ki Hy Aik Gardash Mahori Jis Se Din Badalta Hy Dusri Gardash Dwari Jis Se Mosam Badaltay Hein.
· Q:- Shamshi Tawanai Se Chalnay Wala Asia Ka Pehla Light House Aur Light Tower Kahan Tehmeer Kiya Gya?
· Ans:- Jazera Khaddi Kay Maqam Par Port Qasim Krachi Mein Lagaya Gya.
· Q:- Khana Kaaba Ki Tehmeer Kin Paharon Kay Pathron Se Ki Gayi?
· Ans:- 5 Paharon Kay Pathron Se. 1.Toor Seena 2.Toor Zeitoon 3.Jabal.e.Lebnon 4.Jabal.e.Jori 5.Jabal.e.Hehraa.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Pehlay Bhaeir Kay Balon Se Labas Bna Kar Kis Ne Pehna?
· Ans:- Hazrat Adam A.s.
· Q:- Zameen Apne Mahor Mein Sooraj Kay Gerd Kitni Raftaar Se Gardash Kartay Howay Apna Chakar Kitni Dair Me Mukamal karti Hay?
· Ans:- Raftaar 18 Meel 1Second Kay Hisab Se 365 Din 5 Gantay 48 Mins Me Apna Chakar Mukamal Kari Hy.
· Q:- Zameen Jis Rastay Par Sooraj Kay Gird Chakar Lgati Hy Isay Kia Kehtay Hen?
· Ans:- Woh Rasta Mdaar Kehlata Hy.
· Q:- Shahab Saqib Kis Cheez Ka Bana Howa Hy?
· Ans:- Shahab Saqib Amumma Pathar Ka Bna Hota Hy Is Mein Is Mein Pthar Aur Loway Kay Kay Markab Paye Jatey Hein.
· Q:- Roshni Ki Raftaar Kitni Hy?
· Ans:- Roshni Ki Raftaar 1Lakh 86 Hazar Meel Per Second Hy.
· Q:- Roshni Kia Hy?
· Ans:- Roshni Qoowat Ki Aik Shakal Hy.
· Q;- Sooraj Ki Roshni Zameen Ki Taraf Kis Shakal Mein Safar Karti hy?
· Ans:- Roshni Lehron Ki Shakal Mein Dorhti Hy Yeh Lehren Choti Choti Hoti Hein Humein Dikhai Nahe Deti Hein Seedhi Kernein Nazar ati Hein.
· Q:- Insani Ankh Begair Dorbeen Kitnay Sitary Dekh Sakti hy?
· Ans:- 2 Hazar Sitary Dekh Sakti Hy.
· Q:- Zameen Ka Darmaini Tibka Kis Cheez Par Mushtamil Hy?
· Ans:- 2250 Meel gehra Hy.
· Q:- Zameen Ka Darmaini Tibka Kis Cheez Par Mushtamil Hy?
· Ans:- Chtani Maday Par Mushtamil Hy Jo Qadray Garam Kahen Surkh Aur Kahen Safaid Hy Ye Mada Atish Fishaan Phat'ta Hy Tou Mada Bahir Niklta hy.
· Q:- Zameen Ka Markazi Hissa Kis Cheez Par Mushtamil Hy?
· Ans:- Yeh Hissa Pgaltay Loway Aur Nkal Par Mushtamil hy.
· Q:- Zameen Ki Behrooni Prat Par Kia Paya Jata Hy?
· Ans:- Mahdniaat Aur Gasses Paai Jati Hein.
· Q:- Sab Se Bara Smunder Konsa Aur Is ka Raqba Kitna Hy?
· Ans:- Behralkahil Raqbq Meels Mein 64186000 Samunder Kay Kul Raqba Ka 46% Hy.
· Q:- Zameen Ka Sab Se Bara Jazera Aur Sab Se Chota Jazera Kitnay Marba Meels Ka Hy?
· Ans:- Bara Greenland Behr.e.Manjamand Shmali 840000 Marba meel Chota Srilanka Behr.e.Hind 25,332.
· Q:- Zameen Par Sab Se Bara Darya Konsa Hy Is Ki Lmbai Kitni hy?
· Ans:- Darya.e.Neel Lambai 4157 Meels.
· Q:- Zameen Par Sab Se Chota Darya Konsa Hy Is Ki Lambai Kitni Hy Jo Samundar Mein Girta Hy?
· Ans:- Darya.e.Dajla Lambai 1180 Meels.
· Q:- Abadi kay Lehaz Se Dunya Ka Sab Se Bara Sheher Konsa hy?
· Ans:- Shungai (China).
· Q:- Mont Averist Dunya Ki Buland Tehreen Choti Hy Ye Konsay Pahari Silslay Mein Waqya Hy Is Ki Bulandi Kitni Hy?
· Ans:- Kowah Hamalia Silslay Mein Waqya Hy Is Ki Bulandi 29145 Feet Hy.
· Q:- K-2 Dunya Ki Dosri Bari Choti Hy Yeh Kis Pahari Silsly Mein Waqya Hy?
· Ans:- Koh.e.Qraqrm Pahari Silslay Mein Waqya Hy Is Ki Bulandi 28250 Feet Hy.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Bara Pull Kis Mulkh Mein Hy Aur Kis Cheez Ka Bna Howa Hy?
· Ans:- Pull Ka Name Leek Pontchar Train Number 1 Amrica New Ower Lens Lambai 126055 Feet.
· Q:- Sab Se Bara Bannd Kis Mulkh Ka Hy Aur Kis Darya Par Waqya Hy?
· Ans:- Roos (Rusia) Lmbai 1066 Feet Buland Darya Ka Name Dajish.
· Q:- Sab Se Bara Zilzla Kis Year Me Aya Aur Kitna Jani Nuqsaan Howa?
· Ans:- 1556 Mein Shani (China) Me Aya Jo Zilzla 8 Lakh 30 Hazar Ifrad Halak Howay.
· Q:- Dunya Ka Konsa Khail (Sports) Khatarnaak Kis Mulkh Mein Hota Hy?
· Ans:- Spain Mein Bull Fighting.
· Q:- Dunya Kay Kis khail Ki Wajah Se Sab Se Ziada Tamashai Larkay Martay Hein?
· Ans:- Football.
· Q:- Dunya.e.football Ka Jadoogar Kis Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Brazeli Footballer (Peelay) Ko.
· Q:- Wo Konsay 2 Khail Hen Jin Mein Pechay Reh Janay Wala Fattah Qrar Daita Hy?
· Ans:- 1. Rassa Kashi 2. Ulta Tehrna.
· Q:- Asia Ka Pehla Astrotruff Kahan Bechaya Gaya?
· Ans:- Hockey Stadium Me Dosray Champion Tropphy Hockey Tornoment Kay Liye.
· Q:- India Aur Pakistan Kay Darmain Honay Walay 3 January 1980 Ko Hockey Match Mein India Ko Kitnay Gol Se Shakast Hui?
· Ans:- 7 Gol Se India Sirf Aik Gol Karska
· Q:- Dosri Champions Hockey Tournoment Ka Akhri Match Kin Teams Kay Darmain Khela Gaya Aur Kis Ne Jeeta?
· Ans:- Pakistan Vs Holand Pakistan Ne 2 Kay Muqablay Me 3 Gol Se Jeeta.
· Q:- Aisay Khel Me Jin Me Ball Istamal Hoti Hy Btaiye in Khelon Me Kis Kheil Kay Liye Sab Se Baray Medaan Ki Zarorat Hoti Hy Aur Is Ki Lambai Kitni Hoti Hy?
· Ans:- Polp 300 Ghzz.
· Q:- Cycle Par Sakin Rehnay Ka Muzahira Sab Se Ziada Kitni dair Ka Hy Aur Kis Ne Kia?
· Ans:- Aik Amrici Cycle Sawar Devod Steel Ne 25 November 1977 Ko 9 Gantay 15 Mins Tak.
· Q:- Boxing Me Sab Se Ziada Kis Boxer Ne Sab Se Ziada Dolat Kamai?
· Ans:- Muhammad Ali Amrici Boxer Ne.
· Q:- Shatring farsi Kay Kis Lafaz Se Ikhaz Kia Gaya Hy?
· Ans:- Farsi Kay Lafz Shah Se.
· Q:- Kis Mulkh Me Shatring Kay Khelari Sab Se Ziada Hen?
· Ans:- Rusia Me.
· Q:- Sab Se Ziada Aik Football Kay Match Mein Halak Aur Zakhmi Honay honay Walay Tamashaion Ki Tadad Kitni Hy Aur Ye Mach Konsi Teams Kay Dermain Tha?
· Ans:- Argentoyn Aur Pero kay Dermain Football Match Kay Doraan Refree Kay Aik Faislay Par Jagra Hogaya Jis Mein 300 Ifraad Halak Aur 500 Zakhmi Howay 24 May 1964.
· Q:- Cricket Ki Tareekh Kay Is Bowler Ka Name Btaiye Jis Ki Bowling Kay Doraan Ball Se Chirya Halak Hui?
· Ans:- Majid Khan Kay Walid Jhangir Khan Ki Bowling Karwany Par Hui.
· Q:- Woh Chirya Kis Mulkh Mein Halak Hui Isay Kis Hjaeb Ghar Mein Rakha Gaya?
· Ans:- England Mein Lord Kay Hjaeb Ghar Mein.
· Q:- Woh Konsa Musafir Hy Jis Ne Zindagi Mein Aik Bar Safar Kiya?
· Ans:- Jabal.e.Toor Cena.
· Q:- Murgh Apni Awaz Mein Kaya Kehta Hy?
· Ans:- Ay Ghaflo Allah Ko Yaad Karo. (Farman Hazrat Ali Karm)
· Q;- Mendak Apni Tarrr Tarrr Awaz Mein Kiya Kehta Hy?
· Ans:- Paak Hy Woh Zaat Jis ki Tehreef Samundron Mein Hoti Hy.(Farman Hazrat Ali Karm)
· Q:- Woh konsi Cheez Hy Jo Kainaat Mein majood Hy Magar Allah Ne Isay Khalaq Nai Kiya?
· Ans:- Quraan.e.Paak Aur Deigar Asmani Kitabein Kion kay Woh Allah Ka Kilam Hy Aur Is Ki Sifat Hy Makhlooq Nahe.
· Q:- Woh Konsi Zheez Hy Jo Allah Kay Pas Nahe?
· Ans:- Zulam,Hajazi.
· Q:- Woh Konsi Cheez Hy Jo Saans To Leiti hy Magar Roh Nahe Rakhti?
· Ans:- Allah Tahalah Quraan.e.Paak Mein Farmata Hy Subah Ki Kism Jab Woh Sans Leti Hy.
· Q:- Woh Konsa Drakht Hy Jis Kay Nechay Arbi Nasal Ka Gohra (Hourse) Aik Hazar Saal Tak Baghta Rehy Tab bi Is Kay Saye Se Nahe Nikal Sakta?
· Shajjar.e.Tooba Jannat Ka Drakht.
· Q:- Woh Konsa Drakht Hy Jo Pani KAy Begair Paida Howa?
· Shajjar.e.Younas Kaddoo.
· Q:- Woh Konsa Prinda Hy Jo Jitni Raftaar Se Sedha Urta Hy Utni Raftaar Se Pechay Ki Taraf Urta Hy Aur Kahan Paya Jata Hy?
· Ans:- Austrulia Mein Paya Janay Wala Happing Bird.
· Q:- Azadi Pakistan Ka Ilaan Kab Howa?
· Ans:- 3 June 1947 Ko.
· Q:- Quid.i.Azam Ko Bartanwi Parliment Ne Kab Pakistan ka Governer Genral Muntahib Kiya?
· Ans:- 3 August 1947 Ko.
· Q:- Quid.i.Azam ko Kab Muslim Leauge Ka Mustaqil Saddar Muntahib Kiya?
· Ans:- 1934 Mein.
· Q:- Baani.e.Pakistan Ka Intiqal Kis Bemari Ki Waja Se Howa?
· Ans:- Phephron Ki Bemari Ki Waja Se.
· Q:- Mzaar.e.Quid Ka Naqsha Kis Ne Tayar Kiya?
· Ans:- Yakhya Merchant Ne.
· Q:- Baani.e.Pakistan Ki Siyasi Zindagi Kitnay Years Par Muheet Thi?
· Ans:- 42 Years.
· Q:- Pakistan Ka Sab Se Bara Aur Sab Se Chota Dariya (River) Konsa Hy?
· Ans:- Sab Se Bara Dariya Darya.e.Sindh Aur Sab Se Chota Darya Darya.e.Raavi Hy.
· Q:- Pakistan Ki Sab Se Bari Nehr Konsi Hy?
· Ans:- Nehr Allied Braaj.
· Q:- Pakistan Ki Sab Se Lambi Srreng Konsi Hy Is Ka Name Btaiye?
· Ans:- Lawari Srreng Lambai 5 Kilo Meter.
· Q:- Pakistan Ka Qoumi Nehra Kiya Hy?
· Ans:- Pakistan Zindabad.
· Q:- Pakistan Itemi Taqat Kab Bana Aur Is Din Ko Kiya Kaha Jata Hy?
· Ans:- 28 May 1998 Bemqaam Chaghi 5 Itemi Tajurbat Aur Is Din Ko Yaom.e.Takbeer Kehty Hein.
· Q:- Pakistan Ka Sab Se Bara Bijli (Electricty) Ghar Konsa Hy?
· Ans:- Mangla Electric Home.
· Q:- Pakistan Mein Tawanai Kay Sab Se Zariye Konsay Hein?
· Ans:- Tail,Koila,Gas,Therml,Bijli,Pen Bijli.
· Q:- Pakistan Kis Cheez Ki Paidawar Mein Dunya Mein Pehlay Number Par Ata Hy?
· Ans:- Namak (Salt) Ki Paidawar Mein.
· Q:- Pakistan Mein Qadeem Tehreen Masjid Kahan Waqya Hy?
· Ans:- Bhambhor Mein.
· Q:- Pakistan Mein Pehli Bar Jumah Ki Chutti (Leave) Kab Manzor Hui?
· Ans:- 1 July 1977 Mein.
· Q:- Hakoomat Pakistan Ne Qadiyanio Ko Kab Gair Muslims Qrar Diya?
· Ans:- 27 Aprail 1974 Mein.
· Q:- Pakistani Parcham Ki Beharmati Ki Saza Kab Aur Kiya Muqarar Ki Gayi?
· Ans:- 28 August 1984 Ko 3 Saal Qaid.
· Q:- Sab Se Pehlay Muslim Khlabaaz ka Name Btaiye?
· Ans:- Shezada Sutan bin Abdul Aziz.
· Q:- Sab Se Pehlay Chand Par Qadam Kab Aur Kis Ne Rakha?
· Ans:- 20 July 1969 Ko Nel Ormistrang Ne.
· Q:- Safaid Hathion Ki Zameen Kis Mulk Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Thailand Ko.
· Q:- Ganbadhon Ka Shehir Kis Mulkh Mein Waqya Hy?
· Ans:- Istanbol Shehir Turki Mein.
· Q:- Nawabon Aur Gulabon Ka Shehir Kis Mulkh Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Nawabon Ka Shehir Hyderabad (India) Gulabon Ka Shehir Sheraaz (Iran).
· Q:- Hazrat Muhammad Ne Kis Pahar Kay Matlaq Farmaya Kay Woh Hum Se Muhabat Karta Hy Hum Is Se Muhabat Kartay Hein?
· Ans:- Jabal.e.Uhad.
· Q:- Kis Drakht Ki Jahrein Sab Se Ziada Gehri Hoti Hein?
· Ans:- Jangli Injeer.
· Q:- Tarpeen Ka Teil Kis Drakht Se Hasil Hota Hy?
· Ans:- Cheerh Kay Drakht Se.
· Q:- Kis Phool Ko Pani Ki Malika Kehtay Hein?
· Ans:- Waterlily.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Pehla Bank Kis Mulkh Mein Qaim Howa?
· Ans:- 1808 Ko Italy Mein.
· Q:- Konsa Mughal Badshah Sirf Tasveer Dekh Kar Masor Ka Name Bta Deta Tha?
· Ans:- Mughal Badshah Jahangir.
· Q:- Ghuddo Beraaj Kab Tayar Howa?
· Ans:- 1973 Mein.
· Q:- Jheel Saif.al.Malok Ki Sattah Samundar Se Kitni Buland Hy?
· Ans:- 10,200 Feet.
· Q:- Pakistan Ka Sab Se Khobsorat Behraaj Konsa Hy?
· Ans:- Chashma Behraaj.
· Q:- Pakistan Kay Sab Se chotay Bandd Ka Name Btaen?
· Ans:- Warsik Bandd.
· Q:- Pakistan Ki Buland Tehreen Pahari Choti Ki Bulandi Kitni Hy?
· Ans:- 28,250 feet.
· Q:- Sab Se Pehlay K-2 ki Choti Kis Ne Sar Ki?
· Ans:- Mr.Barmon Boil Ne.
· Q:- Baab.al.Islam Pakistan Kay kis Elaqy Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Sindh Ko.
· Q:- Konsa Dra Gilgit Aur Abttobad Ko Milata hy?
· Ans:- Dra Babosar.
· Q:- Port Qasim Ka Sengh Bunyad Kab Rakha Gaya?
· Ans:- 1976 Mein.
· Q:- Warsik Ki Aabi Srengh Ki Lambai Kitni Hy?
· Ans:- 3.1/2 Meel.
· Q:- Jecob Abad Sindh Ka Purana Name Kia Tha?
· Ans:- Khan Gharh.
· Q:- Jhangir Abad Kis Shehir Ka Purana Name Hy?
· Ans:- Shekhopura (Punjab).
· Q:- Pakistan Kay Konsay 2 Shehir Darwazon Kay Shehir Kehlaty Hein?
· Ans:- Lahore Aur Multan.
· Q:- Pakistan Mein Sab Se Pehlay Marshal Law Kab Laga?
· Ans:- 1958 Mein.
· Q:- Abadi Kay Lehaz Se Pakistan Ka Sab Se Bara Sooba Konsa Hy?
· Ans:- Punjab.
· Q:- Abadi Kay Lehaz Se Pakistan Ka Sab Se Chota Sooba Konsa Hy?
· Ans:- Balochistan.
· Q:- Sooba Sindh Kay Izlah Kaitnay Hein?
· Ans:- Sooba Sindh Kay Kul Izlah Ki Tadad 21 Hy.
· Q:- 23 March Ki Kaya Aehmiyat Hy?
· Ans:- 23 March Qrardad Pakistan ki Manzori Ka Din Hy.
· Q:- Yaom.e.difah Kis Tareekh Ko Manaya Jata Hy?
· Ans:- 6 September.
· Q:- Mashour Qissa Khwani Bzar Kis Shehir Mein Waqya Hy?
· Ans:- Peshawar (Sarhad) Mein.
· Q:- Pakistan Kay Kis Shehir Ka Purana Name Parash Pur Tha?
· Ans:- Peshawar Ka.
· Q:- Pakistan Ka Khushak Tehreen Sooba Konsa Hy?
· Ans:- Balochistan.
· Q:- Halal.e.Ahmer Ka Dusra Name Kia Hy?
· Ans:- Red Cross.
· Q:- Dunya Ka Sab Se Bara Matti Ka Bandd Konsa Hy Aur Ye Kahan Hy?
· Ans:- Mangla Pakistan Mein Waqya Hy.
· Q:- Pakistan Kay Bannay Walay 3rd Behri Jahaz Ka Name Kia Hy?
· Ans:- Lalazar.
· Q:- Punjab Mein Kitnay Chirya Ghar Hein?
· Ans:- 3.
· Q:- Pakistan Ka Sab Se Bara Power House Kahan Waqya Hy?
· Ans:- Hyderabad.
· Q:- Pakistan Ka Sab Se Bara Qabristan Kis Shehir Mein Hy?
· Ans:- Thatha Sindh Mein.
· Q:- Woh Konsi Qoam Hy jis ko Allah Ne Quran.e.Paak Mein Sab Se Ziada Nafarman Qrar Dia?
· Ans:- Qoam Banni Israel.
· Q:- Bait.ul.Haqeeq Kesay Kehtay Hein?
· Ans:- Khana Kaaba Ko.
· Q:- Khana Kaaba Mein Sab Se Pehlay Azaan Kab Di Gayi Thi?
· Ans:- Fattah Makkah Kay Moqah Par.
· Q:- Khana Kaaba Ka Naqsha Kis Ne Tayar Kiya?
· Ans:- Hazrat Jebrael Ne?
· Q:- Khana Kaaba Ki Bulandi Kitni Hy?
· Ans:- 56 Feet 24 Inch.
· Q:- Agar Bivi Faut Hojaye To Shoher Bivi Ko Ghusal Dy Sakta Hy Ya Nai?
· Ans:- Shoher Apni Bivi Ko Ghusal Nai Dy Sakta Kion Kay Bivi Gair Muharam Ho Jati Hy.
· Q:- Agar Shoher Faut Ho Jaye Tom Bivi Apne Shoher Ko Gusal Dy Sakti Hy Ya Nahe?
· Ans:- Bivi Apne Shoher Ko Gusal Dy Sakti Hy Kion Kay Woh 4 Mah 10 Din Shoher Kay Nikah Mein Hy.
· Q:- Rasool Maqbool Ne Kis Muqam Par Baihat Li?
· Ans:- Huqba Mein Jo Makkah Mein Hy.
· Q:- Hazoor (s.a.w) Ne Sab Se Pehlay Namaz Jumah Kis Kahan Ada Ki?
· Ans:- Banni Salim Mein.
· Q:- Woh Konsay Khulifa.e.Rasool (s.a.w) Thay Jino Ne Sab Se Pehlay Islam Qabool Kia?
· Ans:- Hazrat Abu Bakar Sadeeq (R.A) Jo Mardon Mein Sab Se Pehlay Islam Laye.
· Q;- Muslmanoh Mein 5 Waqt Ki Namazein Kab Farz ki Gein?
· Ans:- Shab.e.Miraaj Mein.
· Q:- Barish Kay Liye Konsi Namaz Parhi jati Hy?
· Ans:- Namaz Isiqah.
· Q:- Namaz Kasof Konsi Hy?
· Ans:- Jo Chaand Gehran Kay Waqat Pahri Jaye.
· Q:- Aisi Konsi Namaz hy Jis Mein Sajda Nahe Hota?
· Ans:- Namaz Janaza.
· Q:- Janazay Kay Kitnay Irqaan hotay Hein?
· Ans:- 2. Qayam Aur Takbeeren.
· Q:- Trawi Ki Namaz Farz Hy,Sunnat Hy Ya Wajib?
· Ans:- Sunnat Mokdah.
· Q:- Agar Bacha Murda Paida Ho To Kia Namaz Janaza Ada Ki Jaye Gi?
· Ans:- Jee Nahe.
· Q:- Eid.ul.Fitar Ki Namaz Sab Se Pehlay Kab Parhi Gayi?
· Ans:- Yakam Shwal 2 Hjri.
· Q:- Pehla Hajj Kis Mah Howa?
· Ans:- Zeqahad Mein.
· Q:- Rasool paak (s.a.w) Ne Kis Amal Ko Abadat Ka Maghaz Qrar Dia?
· Ans:- Dua Karnay Ko.
· Q:- Hazoor (s.a.w) Kay Dishman Abu Jehal Ka Name Btaiye?
· Ans:- Umroo.
· Q:- Jasosi Kahanio Ki Malka kis Adeeba Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Agatha Kresty.
· Q:- Baba.e.Urdu kis Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Molvi Abdul Haq Ko.
· Q:- Urdu Mein Sab Se Pehlay Ap Ki Beti Kis Ne Lekhi?
· Ans:- Khawaja Hassan Nazami Ne.
· Q:- Qissa 4 Darwaish Kay Musanaf Ka Name Btaiye?
· Ans:- Ameer Khasro.
· Q:- Mzahia Shahiri Ka Imama Kis Ko Kehtay Hein?
· Ans:- Akbar Ala Abadi Ko.
· Q:- Sindh Kay Kis Shahir Ko Haft Zban Shair Kehtay Hein?
· Ans:- Sachal Sarmast.
· Q:- Raja Gidh Kis Adeeba Ka Nowel Hy?
· Ans:- Bano Qadeesa Ka.
· Q:- Nowel Kis Zban Ka Lafaz Hy?
· Ans:- Italvi Zban Ka.
· Q:- Dehli Ka Sab Se Pehla Urdu Akhbar Konsa Tha Aur Kab Shaya Howa?
· Ans:- 1837 Mein Urdu Akhbar.
· Q:- Urdu Ka Sab Se Pehla Nowel Konsa Hy?
· Ans:- Mura.ul.Haros.
· Q:- Shahir Inqlaab Kis Shahir Ka Khitaab Hy?
· Ans:- Josh Maleeh Abadi.
· Q:- Jaded Islahi Fasanay Kis Ne Likhay?
· Ans:- Munshi paryem Channd.
· Q:- Iqwam Matadah Ka Saddar Muqam Kahan Waqiha Hy?
· Ans:- Newyork Mein.
· Q:- Gang Azeem Awal Mein Bartania Ka Wazir Azam Kon Tha?
· Ans:- H.H.Iskoveth.
· Q:- Dunya Ka Sab Se Pehla Gehra Paani Ka Qowan Kahan Waqia Hy?
· Ans:- Coansland.
· Q:- Kofa Kis mulkh Ka Tarekhi Shehr Hy?
· Ans:- Iraq Ka.
· Q:- Chinese Islami Injaman Kab Qaim Hui?
· Ans:- 1953 Mein.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Ziada kelay Kahan Paye Jate Hein?
· Ans:- India Mein.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Ziada Jungle Kahan Hein?
· Ans:- Rusia Mein.
· Q:- Dunya Kay Buland Tehreen Drakht Kahan Paye Jate Hein?
· Ans:- Redower.
· Q:- Dunya Mein Sab Se Bara janaza kis Shaks Ka Nikla Tha?
· Ans:- Saddar Nasir (Misaar).
· Q:- Dunya mein Sab Se Bara Ganbad Kahan Waqiah Hy?
· Ans:- Mulatan Mein (Shah Alim Deen KA Maqbra).
More Questions Answers
COMING SOON
Labels:
Questions Answers
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)