Breaking News

Latest Post

Wednesday 7 September 2011

Making website with front page 2003


(This lecture was prepared by Murad Khan for itweb)

Frontpage open karin apko top pr file menu nazar ai ga. 2nd standard bar aur 3rd formating bar right side pr task pane nazar ai ga mazeed bar add krny kely top pr kahin bhi right click kardain aur Drawing bar bhi add karlain jo app ky kam aye ge.

sb se neachay left side pr apko Design split code aur Preview ke buttons nazar ain gain. Design main hum Graphically kaam karty hain jese Ms Word main hota hai. Code main hum Html Coding karty hain split main Design aur code same aik he wiondow main show hoty hain. aur Preview main hum apny page ko as a website dhekty hain

page pr kahin bhi right click karin aur page properties pr click karin, General Tab main Title Main site ka name. page discription main apni website di details aur descriptions aur keyword main site ko google search main top pr lany kelye site sy related main words likhen jaisy free softwares, games, web development Tutorial etc.base location apki site main mojod images videos folderz ka short link hota hai.

for example hum images folder main hr image ko add karny kelye long link dete hain www.yoursite.com/images/mypic.jpg agar main base link main sirf aik bar he www.yoursite.com/images/ likh don tu phr koi picture add karny kelye mujay just picutre ka naam he add karna hoga jese <img src="mypic.jpg"> aur images folder main hum jitny images hain unka just name likhen gain tu woh us short link ko follow kar lai ga aur picture show ho jai ge

Back ground sound ke option sy ap site main background music add kar skty hain jo kisi ko nazar nahin ai ga magar hud he chalta rahy ga. koshesh karin ke Quranic ke talawat, koi hamad yah naat wav rm add karin. app youtube ka direct link bhi add karskty hian aur mp3 kelye bhi direct link add karin yah mp3 ko wav main convert karlain aur isy loop mean aik bar do bar yah jitne bar count put kardian woh utni bar chaly ga. aur forever main chalta he rahy ga

Next tab Formating ke ati hai Formating main app backgroung picture add karskty hain. yah phr backgroung page aur text ka colour change karskty hain.aur hyperlink jis sy hum webpages ka apas main link bnaty hain. yah koi webpage ka lik daity hain tu woh by default blue hota hai hum page main mojod tamam links ka color apni marzi ka rkhty hain aur app nai dheka hoga google main jb hum kisi link ko dobara visit karty hain tu uska color change ho chuka hita hai formating main hum visiter link ka color change karskty hain  aur active hyperlink jb link pr click karty waqat color chang hota hai jo ziatr mehsoos nahin hot ausy bhi chang kar skty hain.

abb aty hain file menu main usmain sb sy pehle fine menu main insert tab main jain gain insert tab main 1st break ke option  ati hai. break main hm paragraph  ky darmain space add karty hain.2nd option horizontal line ke hai. yeh page main kahin bhi aik seedhi  aur ufqi line add karny  keley use hoti hai.

3rd sb sy aham option layer ki hai. layer webpage ka backbone ha. agar hum layer ky bagair image text add karin gain tu aski alignment main kafi mushkil ai gi aur agar hm layer main he text aur images add karin gain tu layer ko hm asani sy mouse sy pakar kr kahin bhi move kar skty hain. chahue page ky header main footer mai hm layer ko rkh skty hain.

next option date and time ke hai jis main  app site updating ka last time show kar skty hai, ke yeh site last time kb aur kitny bjay update hoe the. aur jb bhi app site pr kam karin gain. yeh date aur time hud update ho jai ga. date aur time ky baad navigation ke option hoti hai navigation hamari site ky buttons he hoty hain.jin main sites ky pages ko apas main lik kia jata hai.navigation ko use karna thora sa mushkil hai iske jaga hum button use karin gain.jo main baad main btaon ga. next option page banner ki hai jo bekar hai.

Page Banner ky baad web component ke option ati hai.jo sb sy interesrting cheaz hai. webcomponet main dynamic web page effect main marquee ke option ati hai. marquee main app text ko right to lefe left to right move karskty hain. behavior main app text ko news ki tara parmanet moving pr laga skty hain jo aik he rukh main chalta he rahy ga. slide main last muqam pr akar tehar jai ga. aur alternative main right to left aur left ke bad phr right ke taraf ghomta rahy ga Repeat main moving ko control karskty hain aur backgroung chage karskty hain. jin memberz ko html ati hai woh coding page main ja kr right ko up ya down main change karky moving ki diretion ko uper neachay bhi kar skty hain

aik baat ka khyal rahin Fornt page main kch feature page main tb tk run nahin hoty jb tk woh page ksi web server pr upload na ho. aur us server main  FrontPage Server Extension ya share point services install no hon. ap inko web server ka software keh skty hain.aur yeh saholat taqreban har web server provide karty hain. abb aty hain next pages pr.

Insert, web component main, dynamic effect ke options main marquee ky baad interactive buttons aty hain. hum in buttons ko page main dosry pages ke link karny kelye use karty hain, buttons main sy koi sa bhi acha button select karin, Text ke jaga HOME. Softwares, kuch bhi likhin. aur link main kisi bhi 2ng page ka link ya website ka link dai dain.

Button ky tab ky sath Font ke option main app button ke text ka size, orignal color change karskty hain hovered color main jb mouse pointer button pr laya jai ata hai tu button ky text ka color change ho jata hai, Pressed color main text pr click karny pr jo text ka color change hota hai yeh sb app apni choice sy change karskty hain.

Dynamic effect ke bad web search ke option ati hai. yeh option bhi web server main he kaam kary ge. next option main spreadsheet aur chart main app Ms excel , chart etc add karskty hain.next Hitcounter ki option hai. app apni site ky visitors ko count karskty hain. yeh bhi server pr he show hoga.

Hit Counter ke bar photo gallery ati hai.Photo Gallary main app 4 type ki Photo album bna skty hain jo Horizontal, Vertical,  Montage aur  Slide Show shape main hoon gen.web component main ab MSN compunent pr ain.aur search the web with msn ke option sy app MSN ka search box apny page main add karskty hain,MSNBC (MSN Broadcast) ke option sy live news headlines, weather report app apni website main apny visiter ko dheikha sken gain.jo auto update hoti rahin ge.

Last web component advance control ka ata hai.advance control main sb sy pehle HTML ke option ati hai app iss options sy koi bhi HTML coding apni web pr post kar skty hain. jese, chat room,counter. etc. html ky bad  Java Applet ke option ati hai  Java Applet main app java programming base programe add karskty hain. jese web to mobile sms chat etc. yaad rkhin yeh java script nahin hai, aur visiter ko yeh programe tb tk show nahin hoty jb tk woh net sy java program download karky apni pc main install na karlain.

next option Plug in ke hoti hain plug in main app Qick Time format ke Movies, files add karskty hain. Quick time Mov file ko sport karta hai. plugin ky baad Next ActiveX control main app visual basic type ka data add karskty hain jis main 1st canalnder hota hai. ActiveX ky baas Movie In flash format main app Swf games yah flash components add kar skty hain.web component ky kuch features main nay choh dye hain jo zaroori nahin hain.

webcomponet ky bad database ata hai aur database pr hum tb he kaam kar skin gain jb tk yeh kisi webserver mian FrontPage Server Extension ky sath attach ho. next form ata hai form mian hum ragistration form, file uploadiong form, feedback form bna skty hain, magar yeh tb tak kam nahin karin gain jb tk ispr PHP coding na ji jai.

insert main next. form ke baad picture ke option ati hai. picture main kuch options app already web component main dhekh chukay hoon gai isky ilawa app scanner sy picture lai sktin gain work art sy page ke banner ka text bna sken gain aur video ko option sy apny pc main mojod  videos ko webpage main show karwa sken gain.


Pitures ky baad interactive buttons aty hain jo already app parh chukay hain. next file ki option sy app aik he page main kai web pages addd karskty hain. file ky baad bookmarks ki option ati hai. agar ap ny apni site main  long pages use kye hain tu app apny visiter ko ksi Khas jaga paragraph pr jump karwa skty hain. aur last option hyperlink ke hai. hyperlink main hum bohar sy pages aur websites ko aik dosry sy link karst hain.2nd page add karny kelye button yah text ko select karky hyperlink pr click karin aur 2ng page ka link dai dain. apka 2ng page link ho jai ga.

insert main 4th number pr inline frame ki option hai. inline frame main hum apny page main he koi dosri site ya koi 2nd page show karwa skty hain.

ajj hm format menu ke bary main parhain gain. 1st font main app text ka font, size, color change aur text effect dai skty hain.blink effect pr click karin aur firefox browser main open kar ky check karin, apka text blink karta dhikai dai ga. internet explorer main yeh show nahin kary ga.

2nd option paragraph main ap paragraph ke setting, alignment aur spacing adjust karty hain, bullet aur numbring main app text ko numbering aur bullet laga skty hain aur koi arrow, ya dairy ki picture bhi add karsky hain (ansar bahi pistol ye goli ki pictue add krin gain) Border and shading main page borderz ko adjust kar skty hain.

next option, postion main app text aur images ki postion adjust karskty hain. absolute main app picture aur text ko kahin bhi easly move karskin gain. next option Behavior ki hai. asal main yeh java script hai. islye iss pr ziada mehnat karin. aur front page main manually java script ke kuch option yahin hain. iss sy app apny visitors ko khiran, preshan aur tang kar skty hain.

Behaviors pr click karin gain tu right side pr behavior pane show ho jai ga. insert ke option sy app java script ky action add karskin gain. insert main 1st call script  main java script ka code manulay add kar skty hain. 2nd change property main app jb text pr mouse ya click karin gain tu text ka size, font color change ho jai ga. property ke setting sy apni marzi  ke setting karlin.

insert sy behavier add karny ky baad 2 option ajain ge events aur actions. action main behavior ke type aur event main woh amal jis sy action ho ga. jaise mouse click, mouse over,(jb mouse pointer uper ai.) Mouse out (jb pointer hata dia jai. java ky behaviers ko app apni aqal aur samaj kesath jese chain use karin.

next script action "check browser" hai. website main kuch scripts, yah coding asie hoti hai ky jo har browser main sport nahin karti. kuch sites firefox main sahi chalti hain aur kuch internet explorer main. check browser action sy ap apny visiter ko us page pr lai ja skty hain jo isky browser main sahi show ho. magar yeh bohat km use hota hai..

Go to Url Action main auto app apny visitors ko kisi dosri site yah page pr lai ja skty hain , next jump to menu action main app apni visiters ko 3, 4 choice dai skty hain ky woh kis page pr jana chahta hai. next action "open Browser window ka hai. ismain app kisi page ko aik mini page ya popup window main open kr skty hain.

play sound ke option main app kisi bhi text, button, image ya website link pr sound ka action laga skty hain. jb bhi visiter in pr mouse pointer lai ga, ya click kary ga. sound auto play hoga. next Popup message main app visiter ko koi bhi alert show karwa skty hian. jese oye mere site pr doabara zaroor ana hahaha.

next "Set Text" ke option main app apny text ko status bar jo browser ki sb sy nichli bar hoti hai us main show karwa skty hain. Swap images main app aisa image changer action bna skty hain jis main jb images pr mouse pointer laya jai tu woh image hud he change ho jata hai. ajj ke lecture main kuch java bhi ho gai.

format menu main 7th number pr Layers ke option ati hai yeh bhi insert menu wala layer hai. layers pr click karny pr right side pr task pane main layer ke properties open ho jati hai. 1st button insert layer ka aur 2nd draw layer ka. aam toor pr web developer 5 layers page main add karty hain. 1st header main top pr, ismai page ka banner add kia jata hai. 2nd aur 3rd  left aut right side main layers lagai jaty hain aur ismain buttons, aur web gadgets add kye jaty hain. Aur last page ky end main jahan copyright likha jata hai.aut last padge darmain main

layers jy baad next theme ke option ati hai. theme apko task pane main show ho jain gain. ap koi sa acha theme select kar skty hain. theme ke sath app ke webfolder main kuch files, folders show hojain gain.website pr upload karty waqat in files ko bhi upload karna hai. nahin tu theme show nahin hoga.

next option style ke ati hain. style ko CSS kaha jata hai. aur page, text, links ke formating, adjustment sb CSS sy hoti hai. HTML main kcu limitations hoti hai. jinko pora karny keley CSS use kia jati hai.HTML main hum har text,. links, headings ke formating kelye alag alag tag use karty hain. CSS main hum page main mojod tmam heading hyperlinks, text color keley aik he code use kar skty hain, jo sb pr apply ho jata hai.

style option main apko bohat sy HTML tags nazar ain gain. kisi bhi tag ko select karin, Modify pr click karin, Modify style main format pr click karin. yahan sy app us HTML tag ka pora ka pora style apni marzi ka rkh skty hain aur text ka font colour size change kar ky  pory page pr apply kar skty hain.

Style option ky baad style sheet link ke option ati hai. ismain app already bne hoe  CSS coding file ko page ke sathlink kar skty hain. CSS coding aur CSS file net sy bhe easly mil jate hain, CSS "Cascade Style Sheet" ke abbreviation hai.

Style Sheet link ky baad  Shared Boarder ki option ati hai.  hem apni site main boaht sy pages use karty hain. agar kisi aik ky menu main kuch changing karni ho tu sb pages mian karni part hai. shared boarder tamam pages pr aik he show hota hai. shared border main jo changing ke jati hai. woh tmam pages pr auto change ho jati hai shared boarder ke option by default disable hoti hai . Enable karny kelye Tool main page option pr jain .  Authoring tab pr click karin aur shared border ke option ko enable kardain.

Shared Folder ky bad page transition ke option ati hai ismain hum apny web pages ko boaht he cool moving flash type ke effect dai skty hain. page open karny pr, page change karny pr hamara page differnt moving effect ke sath open hoga. kbhi box ke tara kabhi left side sy ay ga kbhi right side sy. ghomta hoa taqseem hota hoa jo chahy effect use karin

next option Background ke hai. Background main app apny pages ka Background color change karskty hain Background image laga skty hain agar apny already frontpage ka theme use kia ho ga tu yeh option disable hoge. next option dynamic Web templates ke hai yeh kafi mushkil hai. islye leave it.

Last 2nd option Remove formatting ke hai. agar app nain  pages main kisi text link etc pr koi formatting ke hai tu just remove formatting  pr clik karkt tamam formating remove kardain.sb sy last option properties ke hai. properties main wahe same font text change kia jata hai

Format menu ky bad next menu tool ke ati hai. yeh hamary kaam ke nahin hai. next menu Table ka ata hai. Table main hum pages main table use karty hain, Table menu main hum table draw, insert, delete, split aur marge karskty hain..Table ky baad baqi menus bhi  kch advance aur gair zaroori hain islye woh chorh dye hain. next inshallah hum file menu ky bary main parhian gain.

Ajj hum file menu ky bary main parhay gain.file main sb sy pehly new page ata hai.jb app new pr click karty hain tu right side pr task pane show ho jata hai jis main sb sy pehly blank page ata hai.2nd text file jis main app css aur java script ki file bna kar html page main add kar skty hain.from existing pages jo app nay last time save ki the,

more pages templates main app front pages ky apny templates ko use kar skty hain.1st general tepmlates hain. jin main confirmation, photo gallery, guest form ky templates hain in main bohat sy templates sirf share point pr kam karty hain.

2nd,  frame pages ky templates hain. yeh inline frame hain he hain jo aik format main bny hoty hain yeh islye use hoty hain ky kuch data hum website main hr pages pr lagana chahty hain. misaal ky toor pr hum website main 20, 25 pages bnaty hain aur inky footer yah header main kuch add ya less karty hain tu hamin tmam pages pr kam karna hoga, islye inline frame main hum sirf aik page alag sy bna lety hain missaal ky tor pr banner ka. aur har page main banner wala page add kr daity hain is tarah hum agar banner change bhi karin gain tu sb pages pr auto change ho jai ga.

Frame pages ky bad style sheet templates aty hain. yeh CSS format ky bny bnay theme hoty hain. In main sy jo app ko acha lagy click karin aur app ky pass aik page main CSS coding show ho jai ge. unko save as "mystyle.css" kardain. abb format menu main ja kr style sheet link sy, mystyle.css wali file ko add kardain. apke site ka page pora change aur stylish ho jia ga.

task pane main next one page website templates ate hain. yeh full website ka pack hota hai.aur kamal ke baat yeh hai ky yeh chand easy steps sy apki pori website bina mehnat kye bna daity hain. yaad rkhin ke yeh feature portable frontpage main shaid kam na karin. General tab main app ko boaht sy tepmlates nazar ain gain app ko just us main text add karna ho ga aur app ke site bn jai. Nex file menu main file search sy koi bhi file aut text search kar skty hain.

file menu main next option open close sy ap apny pages ko open aur close kar skty hain aur open site sy apni online website ka page direct frontpage main open kar skty hain.aur usy edit karskty hain, save, save as aur save as all sy apny tamam pages ko directly page.html main save kar skty hain.

next option publish site ki hai jis main app apni site without kisi software ky apni website pr upload kar skty hain. ap koshesh kren ky frontpage sy bne hoe site ko frontpage sy he karin publish kren. publish ki option  main ftp pr click karin ftp link dain jo kuch aisa hoga. ftp://yoursite.com ftp directory main htdocs likhin aur ok kardian app sy ap ki site ka id aur password pocha jai ga woh dain apki site upload hona shorow ho jai ge.

publish ky bad import ke option ati hai, import main hum koi bhi web site jo hamin ache lagy usy downlaod karky uspr kaam kar skty hain yahan tk ky blog ko bhi, magar woh just aik page he hoga. import main hum http ke options main us website ka adress dain gain jo download karna chahty hain. Kuch sites hum sy id aur password mang lain gain un sites ko chor dain woh protected hoti hai.

next option export ke hoge export file wahi hoge jo app ny net sy import ke ho ge aur woh file just export ho kr apky pc main save ho jai ge. next preview in browser main app apni site ko internet  explorer aur sb sy neachay edit browser list main firefox aur chrome ko add karky direct wahan bhi apny pages ka preview dhekh skty hain. frontpage ky preview wali option main script show nahin hoty islye broawers best hain result check karny kelye.

last  print preview, print aur page setup ke options hain send option main ap apni site ko email ky through apny dost ko send kar skty hain magar yeh email app sirf hotmail sy send karskty hain aur isky lye apky pass koi bhi com domain ka email adress hona chahye. (jo main free dai skta hoon) properties wahe page ki property hai aur last exit. yani forntpage complete Allah ke mehabani aur karam sy ho gia hai.

No comments :

Post a Comment

Designed By Published.. Blogger Templates